Tuesday, December 17, 2019

A complaint


Ek Soch Aqal Se Fisal Gayi,
Mujh Yaad Thi Ki Badal Gayi,

Meri Soch Thi Ki Wo Khwab Tha,
Meri Zindagi Ka Hisaab Tha,

Meri Justju Ki Baraks Thi,
Meri Mushkilo Ka Wo Aks Thi,
Mujhe Yaad Ho To Wo Soch Thi,
Jo Na Yaad Ho To Gumaan Tha.


Mujhe Baithe-Baithe Guma Huwa
Guma Nahin Tha Khuda Tha Woh,
Meri Soch Nahi Thi Khuda Tha WoH
Woh Khuda Ke Ji Ne Zubaan Di,
Mujhe Dil Diya Mujhe Jaan Di,

Wohi Zuban Jise Na Chalaa Sakein,
Wohi Dil Jise Na Manaa Sakein,
Wo Jaan Jise Na Lagaa Sakein.

Kabhi Mil To Tujhko Bataye Hum,
Tujhe Is Tarah Se Satayein Hum,
Tera Ishq Tujhse Chheen Ke,
Tujhe Mai Pilaake Rulayein Hum.

Tujhe Dard Doon Tu Na Seh Sakey,
Tujhe Dard Doon Tu Na Seh Sakey,
Tujhe Doon Zabaan Tn Ka Keh Sakey,
Tujhe Doon Makan Tu Na Reh Sakey,

Tujhe Mushqilon Me Ghira Ke Main Koyi Aisa Rasta Nikaal Doon
Tere Dard Ki Main Dawaa Karoon, Kisi Garz Ke Main Siwa Karoon,

Tujhe Har Nazar Pay Oboor Doon
Tujhe Zindgi Ka Shahoor Doon,

Kabhi Mil Bhi Jayengey Gham Na Kar,
Hum Gir Bhi Jayengey Gham Na Kar,

Tere Ek Honay Mein Shak Nahin,
Meri Niyaton Ko Tu Saaf Kar,
Teri Shaan Mein Bhi Kami Nahin
Mere Is Kalaam Ko Maaf Kar.


No comments:

The Absurd Adventures of Algernon Featherby

Algernon Featherby, a middle-aged chap with a penchant for tweed suits and a perpetual furrowed brow, returned to his quaint village after a...